Posts

Na hath aye khabi jo ghadi .. gujaar jaye.. Tu sochta rahe aur jindagi.. gujaar jaye.. Har ik lamhe ki kadar kar  har ik lamhe ko sambhal Na waqt kimaati ye hath se ... Gujaar jaye.. Nigahe band kiye be khabar na baith  bashar (insaan) Ke ghar se hoke khai roshnii ...Gujaar jaye..
Jo bol likhe the kagaz par.. Vo zehen ke andar shamil the.. Jab zehen pe apne zor diya Khayaal bhaut hi kamil the.. Kya kagaz ne tha khel racha ?? Kya kalam ki itni himmat thy?? Kya soch mai itni shiddat thy?? Kya akal mai itni takat thy?? Jisne ye sara khel racha  Vo denhaar koi aur nahi.. Vo deta hai mai leta hu  Khud apna koi zor nahi.. Jab kalam pe iska karam hua  Jab kagaz ne mangi thy dua.. Khud taras kia aur utar gaya.. Meri rag rag mai meri nas nas mai Aur hukam kia ki likh de tu jo bat hai  Raze zehen Ki denhaar koi aur hai deta hai din ren log bharam mujh par kare taante niche nain..
Jab kabhi  khud se sawal hota hai.. Jawab der tak nahi milta. Jab kabhi amaal ki kitaab kholu.. Koi panna bhara nahi milta.. Mangu bhi to tujhse mangu kese .. Khaali koi Kassa nahi milta.. "Sarkar" ne itna Nawaz rakha hai Shukr ka andaze bayan nahi milta